Wednesday, September 5, 2007

Mutter : Pyaar ki bhent

Mutter to jaise hum hindustaniyon ki jaan hai, har dish mein hai jaise alloo mutter, mutter paneer, peas pulao aur ek do daana to uska kisi bhi sabji mein aise hi ghusa rehta hai.

Hum doston ko bhi mutter bahut hi pasand hai. Jab bhi hum khaana khaate hain to agar khaane mein mutter na ho to hum usko bahut miss karte hain. Aur agar khaane mein ek daana bhi mutter ka mil jaaye, to waah kya kehne. Fir to mutter ki tareef kiye bina koi reh nahin sakta.

Aaj maine samosa khaaya khaate khaate usemin se 2-3 mutter ke daane baahr tapak pade. To dekhte hi mutter ka wo daana, yaad aaya mujhko apna sher puraana.

Wo sher kuch is prakaar hai :

dil karta hai ki teri tatti mein pade mutter ko choom loon,
aakhir wo bhi to kabhi tere hothon se gujra hoga.


Is sher se itne dost inspired ho chuke hain ki sabne mutter khaana, mera matlab hai nigalna shuru kar diya hai. Taaki agle din jab subah wo tatti karein to mutter ka poora daana saaboot baahr aaye aur usko unki ye unke chanewaali ya chaahnewaale pyaar se choom sakein.

Aakhir main bas yahi kahoonga ki mutter ke daane ko maamooli mat samjhiye ye to ek premi ki doosre premi ko pyaar bhair aur tatti bhari bhent hai.

1 comment:

pratyush said...

Ha ha college joke ka vishleshan....