Bahut pareshaan ho chuka hoon main, sach mein, bahut hi zyaada pareshaan. Jisko dekho mujhpar sulabh shauchalya samajh kar aaata hai aur tatti kar deta hai aur as usual ek bhartiya hone ke naate public toilet mein flush bhi nahin chalaata. Ab to mujhe bhi apne aap se badboo aane lagi hai.
Log kehte hain ki sab kisi na kisi kaam ke liye hi is duniya mein aate hain, aur shayad main isliye aaya hoon ki log mujh par thookein, mootein, tatti karein aur chale jaayein.
Is baar to waise aur bhi hadh ho gayi, mujh par aise tatti firi ki mujhe pata hi nahin chala ki kab firi. Mujhe samajh hi nahin aaya ki kab koi mere upar aaya, tatti ki aur nikal gaya. Bahut hi hoshiyaari se hui thhi ye tatti aur aise tatti ke liye ek word hota hai. Aisi tatti jo hoshiyaari se ki jaaye usko Hoshiyaarpuri Tatti bolte hain.
To iska matlab mere pe ho gayi hai Hoshiyaarpuri Tatti, bahut hi hoshiyaari se.